Samsung Galaxy S10, S10+, S10e Price in India Announced, Pre-Bookings Now Open
Samsung ne duniya ka phela 5G smartphone launch kardiya jiska naam Samsung Galaxy S10 or galaxy s10 Plus or Samsung S10E ko aaj Samsung ne launch kardiya ye phone abhi market mai available nahi hai.
Samsung Galaxy S10+ Specification & Features
Is Smartphone mai 6.7 inch ka Dynamic AMOLED Display diya jata hai ye curved FHD+ resolution ke sath aata hai ye phone 7nm Qualcomm Snapdragan 855 processor ke sath or india mai 8nm per Exynos 9820 Octa-core Processor per based hai. Phone ko power ke liye 4500mAH ki battery di jaati hai, 25W ka fast Charge support karta hai itna hi nahi ye phone wireless charge bhi support karta hai is variant mai 8GBki Ram or 256GB storage ke sath pesh kiya gaya hai. Galaxy S10+ 5G Dual Front Camera or Quad Rear Camera majud hai. Ye phone Android 9.0 PIE per based hai or ye dedicated SD Card slot ke sath aata hai. Fingerprint ki baat kare to isme Under Display Fingerprint sensor milta hai. Jo Super fast kaam karta hai. Phone ke display mai Punch Hole hai jaha per 2 Selfie Camera setup milta hai, Is phone per Heart Rate sensor bhi majud hai. Phone per Wifi 6 Ka Support dekhne ko milta hai. Phone ke spec ke hisaam se Phone mai koi bhi negative point nahi phone Over all good hai.
Samsung Galaxy S10, Galaxy S10+, Galaxy S10E Price in india
Samsung ke is phone ko sabhi Online market mai sale kiya jaega. Samsung Galaxy S10 ki base variant ki kimat Rs.66,900 rupee hai is price point per 128GB varinet milega iske 512GB storage variant ki price Rs.84,900 rupee hai. Samsung Galaxy S10+ ke128GB storage variant ki bharat ma price hai Rs.73,900 rupee hai. Wahi Galaxy S10+ ka 512GB variant ki Rs.91,900 rupee mai milega.
Samsung Galaxy S10+ ke 1TB storage variant ki Price 1,17,900 rupee mai sale kiya jaiega. Smartphone Samsung Galaxy S10E ki Price 55,900 rupee taye ki gayi hai. Is price point per 128 GB variant milega.
agar apko mera post accha lage to Bell Button click karke Subscribe karlena or Jyada se jyada share kar dena.
|| जय हिन्द वन्दे मातरम ||