Dosto email address ke bare me toh aap jante hi honge. Email address mail bhejne wale postman ke liye ek address ki tarah hota hai. Aap ka bhi email address jarur hoga. Dosto aapne jarur dekha hoga ki kisi bhi website par account create karne ya sign up karne ke liye email address ki jarurat hoti hai, jaise Facebook, Twitter, Myspace etc. Lekin ye jaruri nhi har ek website fb aur twitter ki tarah safe ho waise me aap Disposable/Temporary Email Address use kar sakte hain. Aaiye iske bare me detail me jane...
→Also read: किसी भेजे गये ईमेल को कैसे ट्रैक करें?
→Also read: किसी भेजे गये ईमेल को कैसे ट्रैक करें?
Kya hota hai Disposable/Temporary E-Mail Address?
Ye email address ek asthai (temporary) rup se hoti hai. Ye ek fake email ki tarah bhi kam karta hai. Jyadatar ye email address 24 ghante ke ander nast ho jata hai, lekin alag alag sevice me email nast hone ka time different hota hai.
Is E-Mail Address ke kya faide hain?
Is e-mail se aapko apna asli email address nhi dena padega. Iski madd se aap Internet par untrusted websites se bach sakte hain. Aur apne email account ko hack hone se bhi bacha sakte hain. Iska use kar ke aap bekar ke spam mail se chutkara pa sakte hain.
Disposable E-mail Address kaise prapt karte hain?
Disposable E-mail banane ke liye internet par bahut si websites hain jinme se kuch best ki link main aapko niche de rha hun.
Lekin is post me main aapko ThrowAwayMail ke bare me bataunga, jo mujhe personally bahot accha laga. Iske liye aap ko niche bas 4 diye gaye steps follow karne padenge-
Lekin is post me main aapko ThrowAwayMail ke bare me bataunga, jo mujhe personally bahot accha laga. Iske liye aap ko niche bas 4 diye gaye steps follow karne padenge-
Step 1: Sabse pahle ThrowAwayMail.com par jayen.
Step 2: Is website par jate hi aapko pahle se hi generated email address mil jayega. Jaisa ki aap niche image me dekh sakte hain.
Step 3: Bas ab Copy Email par click kar ke email ko copy kar len.
Step 4: Fir kya? Use kariye aapne email address ko!
Agar post pasand aai niche jiye gaye buttons par click kar ke share kare. Ye post facebook par bhi share karen.
Dhanywad!